Muhabbat Ka Dono Ke Dil Par Lyrics

"Muhabbat Ka Dono Ke Dil Par" lyrics from Afsana sung by shamshad begum and music directed by bhagatram batish, husnlal batish and composed by bhagatram batish, husnlal batish and lyrics written by asad bhopali

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Muhabbat Ka Dono Ke Dil Par Lyrics


Muhabbat ka donon ke dil par asar hai
Muhabbat ka donon ke dil par asar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai

Umangon ke din hain jawaani ki raaten
Umangon ke din hain jawaani ki raaten
Nigaahon ne ki hain nigaahon se baaten
Jo haalat idhar hai wo haalat udhar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai

Wo jis din se aaye hain mehmaan dil mein
Wo mehmaan dil mein
Wo jis din se aaye hain mehmaan dil mein
Wo mehmaan dil mein
Machalte hain rah rah ke armaan dil mein
Muhabbat ki pehli nazar kya nazar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai

O door hain ab tak muhabbat ke sapne
O door hain ab tak muhabbat ke sapne
Meraa haath le lo tum haathon mein apne
Bahut door manzil hai mushqil safar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai
Muhabbat ka donon ke dil par asar hai
Muhabbat ka donon ke dil par asar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai
Na unko khabar hai na hamko khabar hai.

More songs lyrics from Afsana.