Meri Yaad Mein Tum Lyrics
"Meri Yaad Mein Tum" lyrics from Madhosh sung by talat mahmood and music directed by madan mohan kohli and composed by madan mohan kohli and lyrics written by raja mehdi ali khan
Meri Yaad Mein Tum Lyrics
Meri yaad mein tum na aansu bahana
Na ji ko jalana, mujhe bhul jana
Samjhna ke tha ek sapna suhana
Vo guzara zamana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein
Juda meri manzil, juda teri rahe
Juda meri manzil, juda teri rahe
Milegi na ab teri meri nigahe
Mujhe teri duniya se hai dur jana
Na ji ko jalana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein
Ye ro ro ke kahta hai tuta hua dil
Ye ro ro ke kahta hai tuta hua dil
Nahi hu mai teri mohabbat ke kabil
Mera naam tak apne lab pe na lana
Na ji ko jalana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein tum na aansu bahana
Na ji ko jalana, mujhe bhul jana
Samjhna ke tha ek sapna suhana
Vo guzara zamana, mujhe bhul jana
Meri yaad mein.
More songs lyrics from Madhosh.