Meri Kashti Rawaan Hai Lyrics

"Meri Kashti Rawaan Hai" lyrics from His Highness and music directed by lalubhai nayak and composed by lalubhai nayak

Music Director(s):
Composer(s):

Meri Kashti Rawaan Hai Lyrics


Ummid e ahl e kashti
Na-khuda ke hai ishaare par
Meri kashti rawaan hai
Be-khatar tere sahaare par
Chale kyun mori naiya kinare kinare
Chale kyun mori naiya
Chale kyun mori naiya kinare kinare
Chale kyun mori naiya kinare kinare

Talaatum ho qiyaamat kaa
Ke toofaan hashr saman ho
Shakistah badban shiraazah e kashti
Pareshaan ho wo ghar barbaad ho kaise
Tu jiska meer saman ho
Woh kashti garq ho kaise
Ke tu jiska nigahbaan ho
Chale kyun mori naiya kinare kinare
Chale kyun mori naiya
Chale kyun mori naiya kinare kinare
Chale kyun mori naiya kinare kinare

Meri kashti badhegi aur
Cheerti seena samandar ka
Rawaani zaayeka ban kar karegi
Kaam khanjar ka sitara auj
Par hai in dinon mere muqaddar ka
Ke kismat se mila hai saath
Mujhko tujh se raahbar ka
Chale kyun mori naiya
Chale kyun mori naiya kinare kinare
Chale kyun mori naiya kinare kinare
Chale kyun mori naiya kinare kinare.

More songs lyrics from His Highness.