Mera Nanha Kanhaiyya Lyrics

"Mera Nanha Kanhaiyya" lyrics from Bhabhi Ki Chudiyan sung by lata mangeshkar and music directed by sudhir phadke and composed by sudhir phadke and lyrics written by pandit narendra sharma

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Mera Nanha Kanhaiyya Lyrics


Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera jiyaa
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa

Aaj gagan ne chanda dekha
Aaj phool ne hansna seekhaa aaa
Aaj gagan ne chanda dekha
Aaj phool ne hansna seekhaa
Deep se deep jale aasha ke
Ghar aangan man bhaaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa

Muskaata jab shyam salona
Hansta ghar ka kona kona
Muskaata jab shyam salona
Hansta ghar ka kona kona
Pulkit tan hai muklit man hai
Aanchal mera lahraaya re
Mera nanha kanhaiyaa ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyaa

Ghutnon ke bal chale chabeela
Aanchal pakde kabhi hatheela
Ghutnon ke bal chale chabeela
Aanchal pakde kabhi hatheela
Laal laal le tujhko paakar
Maine sab kuchh paaya re
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyya

Tu vasant tu sharad suhaawan
Tu phagun hai tu hi saawan
Tu vasant tu sharad suhaawan
Tu phagun hai tu hi saawan
Hari ke vardaanon ki tujhpar
Rahe khushi ban chaaya
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera jiyaa
Mera jiyaa sahaj harshaaya re
Mera nanha kanhaiyya ghar aaya re
Mera nanha kanhaiyya.

More songs lyrics from Bhabhi Ki Chudiyan.