Matt Socha Kar Lyrics

"Matt Socha Kar" lyrics from Bolti Aankhon Key Naam sung by kamran hasan and music directed by mehdi hassan and composed by mehdi hassan

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Matt Socha Kar Lyrics


Kuchh baate aisi hoti hain
Jinhe soch ke dil gabhrata hain
Ye ye jeena hain kya jeena hain
Kyun jeena hain ab
Aur kahaan tak jeena hai
Mar jaana hain
Par aakhir kyun mar jaana hain
Aur mar kar aakhir socho toh
Kis desh mein kis sansaar mein
Humko jaana hain kyun jaana hai
Kya kya desh mein us sansaar mein
Humko hum sab ko is desh ki tarha
Tanha tanha hi rehna hai
Kyun rehna hai

Tanhaa tanha matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar
Mar jaayega
Mar jaayega matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar

Pyar gadhi bhar ka hi bahot hain
Pyar gadhi bhar ka hi bahot hain
Jootha sachcha mat socha kar
Jootha sachcha mat socha kar
Mar jayega
Mar jayega matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar

Khwaab haqikat yaa afsaana
Yaa afsaana afsaana
Khwaab haqikat yaa afsana
Kya hain duniya matt socha kar
Kya hain duniya matt socha kar
Mar jayega
Mar jayega matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar

Jis ki fitrat hi dasna ho
Jis ki fitrat hi dasna ho
Woh toh dasega matt socha kar
Woh toh dasega matt socha kar
Mar jayega
Mar jayega matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar

Maan mere shehzaad wagar na
Maan mere shehzaad wagar na
Maan mere shehzaad wagar na
Pachhtayega matt socha kar
Pachhtayega matt socha kar
Mar jayega
Mar jayega matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar
Tanhaa tanha matt socha kar.

More songs lyrics from Bolti Aankhon Key Naam.