Mann Jaage Lyrics

"Mann Jaage" lyrics from Bittoo Boss sung by shahid mallya and music directed by raghav sachar and composed by raghav sachar and lyrics written by rakesh kumar (kumaar)

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Mann Jaage Lyrics


Mann jaage saari
Raat mera deewana
Mann maane na yeh
Baat ke woh tha begaana
Mann jaage saari
Raat mera deewana
Mann maane na yeh
Baat ke woh tha begaana
Hai khud se hi khafa khafa
Kya chahiye nahi pata banwara

Paaya woh na chaaha
Chaaha woh na paaya
Jiske peeche bhaage
Woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoondhe
Kya kya dukh na paaya
Par saaya tehra saaya
Ke haathon mein na aaya
Koi subaah jo main uthoon
Tujhe agar mile sukoon banwara

Ginta rehta taare
Lotoon main angaare
Khud se ladta phirta
Yeh jag ko thokar maare
Kheenche kheenche baithe
Baithe baithe bhaage
Na sunta khudke aage
Yeh pagal ho gaya re
Paaya woh na chaaha
Chaaha woh na paaya
Jiske peeche bhaage
Woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoondhe
Kya kya dukh na paaya
Par saaya tehra saaya
Ke haathon mein na aaya

Hai zindagi muhaal kyun
Bana liya yeh haal kyun bata
Uljha uljha rehta na
Sunta na kuch kehta
Sooni sooni aankhon
Se rehreh paani behta
Toote saare naate
Haara main samjhate
Bichde din aur saathi
Phir wapas nahi aate
Wapas nahi aate
Wapas nahi aate

Yeh dard kyun yeh pyaas
Kyun phira kare udaas kyun
Yeh rald kyun talaash kyun
Bata banwara

Thandi aahein bharke
Jeeta hai marmar ke
Kaisa reh gaya hai yeh
Dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke
Jhokein se umar ke
Raet ke mahal sa deh
Gaya hai bikhar ke
Thandi aahein bharke
Jeeta hai marmar ke
Kaisa reh gaya hai yeh
Dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke
Jhokein se umar ke
Raet ke mahal sa deh
Gaya hai bikhar ke

Aaa
Mann jaage jaage re
Mann jaage jaage
Jaage jaage banwara.

More songs lyrics from Bittoo Boss.