Manmohan Murali Teri Lyrics

"Manmohan Murali Teri" lyrics from Piya Milan Ki Aas sung by lata mangeshkar and music directed by s. n. tripathi and composed by s. n. tripathi and lyrics written by bharat vyas

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Manmohan Murali Teri Lyrics


Manmohan murali teri bairan ban gayi haye
Baje to radha bawri na baje to man akulaye
Suno ek din ki baat thi wo poonam ki raat
Suno ek din ki baat thi wo poonam ki raat
Radha baithi thi jamuna ke teer
Badi man me adhir bhare naino mein neer
Nahi aaye salone sawre
Akulane lage naina ha bawre
Tabhi boli sakhi dekh bholi sakhi
Tere murli wale sham aa gaye
Tere man ke mohan sham aa gaye
Tere sapno ke ghan sham aa gaye
To radha boli radha boli radha boli

Radha boli radha boli bade ji tum aaye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Apni murli me ras bhar laye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Radha boli radha boli bade ji tum aaye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Radha boli

Uthe tan man me peed kya tumhare liye
Uthe hirday ka dhir kya tumhare liye
Lage virah ka teer kya tumhare liye
Mera dukhda bada dukhda mitane aaye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Apni murli mein ras bhar laye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Radha boli radha boli bade ji tum aaye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Radha boli

Koi karta human to aji tumko kya
Koi karta human to aji tumko kya
Jaye virahan ki aan to aji tumko kya
Koi kho dale pran to aji tumko kya
Koi de dale jan to aji tumko kya
Jab khud ko jab khud ko padi tab aaye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Apni murli me ras bhar laye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Radha boli radha boli bade ji tum aaye ho
Jaise hamko tumhare bin chain nahi
Radha boli.

More songs lyrics from Piya Milan Ki Aas.