Main Tumhara Lyrics

"Main Tumhara" lyrics from Dil Bechara sung by hriday gattani, jonita gandhi and music directed by a.r. rahman and composed by a.r. rahman and lyrics written by amitabh bhattacharya

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Main Tumhara Lyrics


Tum na huye mere to kya
Hmm..tum na huye mere to kya
Main tumhara, main tumhara
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitaara raha

Rishta raha bas rait ka
Aye samundar main tumhara kinaara raha
Main tumhara, main tumhara, tumhara raha

Main jaadon ke mahine ki tarah
Aur tum ho pashmine ki tarah
Main deewaro ki tarah hun
Tum jaise ho dareecha
Main bageecha jo tumne seencha

Tum na huye mere to kya
Hmm..tum na huye mere to kya
Main tumhara, main tumhara,
Main tumhara raha
Mere chanda main tumhara sitaara raha

Rishta raha bas rait ka
Aye samundar main tumhara kinaara raha
Main tumhara, main tumhara, tumhara raha
Tum na huye mere to kya..

More songs lyrics from Dil Bechara.