Main Tum Mein Sama Jaoon Lyrics

"Main Tum Mein Sama Jaoon" lyrics from Raaste Pyar Ke sung by lata mangeshkar, s. p. balasubrahmanyam and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by anand bakshi

Lyricist(s):

Main Tum Mein Sama Jaoon Lyrics


Yeh waqt na kho jaaye,
Bas aaj yeh ho jaaye
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao

Yeh waqt na kho jaaye
Bas aaj yeh ho jaaye
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao

Bechaini ki dheemi dheemi
Iss aag mein dil jal jaayega
Bechaini ki dheemi dheemi
Iss aag mein dil jal jaayega
Saawan ka rasta na dekho
Saawan jaane kab aayega
Saawan ka rasta na dekho
Saawan jaane kab aayega
Ban jaao tum baadal
Mausam par chha jaao
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao

Meri aankhon mein waade hain,
Tere honto pe kasame hai
Meri aankhon mein waade hain,
Tere honto pe kasame hai
Inn waadon se in kasamon se
Pehale duniya ki rasme hain
Duniya ki rasmon ko tum tod ke aa jaao
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao

Julfon ke reshami saaye mein
Sapano ki sej sajaane do
Julfon ke reshami saaye mein
Sapano ki sej sajaane do
Chhodo aanchal meri tauba
Mujhako waapas ghar jaane do
Chhodo aanchal meri tauba
Mujhako waapas ghar jaane do
Jaana hai toh iss dil ki
Yeh pyaas bujha jaao
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao
Yeh waqt na kho jaaye,
Bas aaj yeh ho jaaye
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao
Main tum mein sama jaoon,
Tum mujhame sama jaao.

More songs lyrics from Raaste Pyar Ke.