Main Jitna Soch Sakta Hoon Lyrics

"Main Jitna Soch Sakta Hoon" lyrics from Intezar sung by harendra khurana and music directed by harendra khurana and composed by harendra khurana

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Main Jitna Soch Sakta Hoon Lyrics


Main jitna soch sakta hoon
Tum utani khubsoorat ho
Main jitna soch sakta hoon
Tum utani khubsoorat ho
Basi rehati hain aankhon mein
Woh tasveere mohabbat ho
Main jitna soch sakta hoon
Tum utani khubsoorat ho

Ye sarmaai huyi aankhein
Ye gabraai huyi baatein
Ye sarmaai huyi aankhein
Ye gabraai huyi baatein
Ye begana saa apna pan
Ye ulji si mulakaate
Jawaani mein jo dil par
Tuti hain woh qayamat ho
Basi rehati hain aankhon mein
Woh tasveere mohabbat ho
Main jitna soch sakta hoon
Tum utani khubsoorat ho

Tumhare marmari haatho se
Khusbooe bina maange
Tumhare marmari haatho se
Khusbooe bina maange
Tumhare reshami aanchal
Ko chhune ki duwaan mange
Agar woh rooh ko is duniya
Mein aane ki izazat ho
Basi rehati hain aankhon mein
Woh tasveere mohabbat ho
Main jitna soch sakta hoon
Tum utani khubsoorat ho

Mujhe tum paa nahin sakte
Tumhein main paa nahin sakta
Mujhe tum paa nahin sakte
Tumhein main paa nahin sakta
Khayaalo mein chura kar
Rakh to loon apna nahin sakta
Dhanak ban kar jo aankhon mein
Mehekti hain woh moorat tu
Basi rehati hain aankhon mein
Woh tasveere mohabbat ho
Main jitna soch sakta hoon
Tum utani khubsoorat ho.

More songs lyrics from Intezar.