Maasum Chehara Yeh Kaatil Adaaye Lyrics

"Maasum Chehara Yeh Kaatil Adaaye" lyrics from Dil Tera Diwana sung by lata mangeshkar, mohammed rafi and music directed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and composed by jaikishan dayabhai panchal, shankar singh raghuvanshi and lyrics written by hasrat jaipuri

Lyricist(s):

Maasum Chehara Yeh Kaatil Adaaye Lyrics


Maasum chehara yeh kaatil adaaye
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Saagar se gehari tumhari nigaahe dubo
De na hamako yeh laakar kanaare
Saagar se gehari

Huwa samna kya ke sau tir khaye
Ajab tir the woh najar bhi na aaye
Huwa samna kya ke sau tir khaye
Ajab tir the woh najar bhi na aaye
Kya hum pe gujari tumhe kya bataaye
Ke bemaut maare gaye hum bechaare
Saagar se gehari tumhari nigaahe dubo
De na hamako yeh laakar kanaare
Saagar se gehari

Mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
Ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
Mohabbat ki unchhaayi par aa chuke hum
Ke abb raahon ki dhul hai dono aalam
Magar keh rahi hai
Yeh dil ki sadaaye de na
Hamako yeh laakar kanaare
Maasum chehara yeh kaatil adaaye
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Maasum chehara

Diya jakhm tumne bada khubsurat
Liya daag hamne bada khubsurat
Diya jakhm tumne bada khubsurat
Liya daag hamne bada khubsurat
Salaamat rahein aapki yeh jafaayein
Ke bemaut maare gaye hum bichaare
Saagar se gehari tumhari nigaahe dubo
De na hamako yeh laakar kanaare
Maasum chehara.

More songs lyrics from Dil Tera Diwana.