Laga Ragda Lyrics

"Laga Ragda" lyrics from Amba sung by alka yagnik, mohammed aziz and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by anand bakshi

Singer(s):
Lyricist(s):

Laga Ragda Lyrics


Bam bam bhole,
Laga ragda, ho laga ragda
To mit gaya jagda
Ke tera mera mail ho gaya
Laga ragda to mit gaya jagda,
Ke tera mera mail ho gaya
Paas main ho gayi re imthan mein,
Paas main ho gayi re imthan mein,
Balam tu fail ho gaya
Paas main ho gayi re imthan mein,
Balam tu fail ho gaya
Laga ragda to mit gaya
Jagda, ke tera mera
Ke tera mera, mail ho gaya

Wo cheez nahin jo dar jau,
Jo bole main kar jau
Tu ek ishara kar dilbar,
Main khadi khadi yahi mar jau
Is teri ada pe mar jau,
Sari duniya se lad jau
Ghar bana lu aa tere dil mein
Aaj na vapas ghar jau
Oo ho, sari duniya tamasha dekhe,
Shuru ab khel ho gaya
Sari duniya tamasha dekhe,
Shuru ab khel ho gaya
Paas main ho gayi re imthan mein,
Balam tu fail ho gaya, laga ragda

Ye bat alag hai oo sajana,
Tu mera jeevan sathi hai
Itni si to hai jaan teri,
Lekin banta tu hathi hai
Aa pas jara main dekhu to
Kis bat pe tu itarati hai
Main kuch bhi hoon main dipak hu,
Tu kuch bhi hai tu bati hai
Oo ho ab jane de, bas rahane de,
Khatam tera tel ho gaya
Ab jane de, bas rahane de,
Khatam tera tel ho gaya
Laga ragda to mit gaya jagda,
Ke tera mera mail ho gaya
Laga ragda,

Ab tujhko koi hosh nahin,
Isme tera koi dosh nahin
Hat pichhe, re hat pichhe
Ye kya karta hai
Achha itana bhi josh nahin,
Main hosh mein hoon, madhosh nahin,
Main aashiq hoon khargosh nahin
Ya to main bat nahin karta,
Ya hota main khamosh nahinn
Bhang peeke tu, oo ho
Bhang peeke tu malgadi se
Hoye fantiyar mail ho gaya
Bhang peeke tu malgadi se
Hoye fantiyar mail ho gaya
Laga ragda to mit gaya jagda,
Ke tera mera mail ho gaya
Paas main ho gayi re imthan mein,
Paas main ho gayi re imthan mein,
Balam tu fail ho gaya
Ho, tera mera mail ho gaya
Tera mera mail ho gaya ,
Tera mera mail ho gaya
Tera mera mail ho gaya, ho,
Tera mera, mera tera
Tera mera, mera tera,
Tera mera, tera mera, tera mera.

More songs lyrics from Amba.