Labo Se Choom Lo Lyrics

"Labo Se Choom Lo" lyrics from Aastha: In The Prison Of Spring sung by sriradha bannerjee and music directed by shaarang dev and composed by shaarang dev and lyrics written by gulzar (sampooran singh kalra)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Labo Se Choom Lo Lyrics


Labo se choom lo,
Aankho se tham lo mujhko
Labo se choom lo,
Aankho se tham lo mujhko
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile
Labo se choom lo,
Aankho se tham lo mujhko
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile

Do saundhe saundhe se jism jis waqt,
Ek muthhi me so rahe the
Bata toh us waqt main kaha tha,
Bata toh us waqt tu kaha thi

Main aarju ki tapish mein
Pigal rahi thi kahi
Main aarju ki tapish mein
Pigal rahi thi kahi
Tumhare jism se hokar
Nikal rahi thi kahi
Bade hasin the
Bade hasin the
Jo rah mein gunah mile
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile
Labo se choom lo,
Aankho se tham lo mujhko

Tumhari lau ko pakadke
Jalne ki aarju mein
Jab apne hi aap se
Lipat ke sulag raha tha
Bata toh us
Waqt main kaha tha,
Bata toh us waqt tu kaha thi

Tumhari aankho ke hoo
Tumhari aankho ke
Sahil se door door kahi
Tumhari aankho ke
Sahil se door door kahi
Main dhundati thi mile
Khushbuo ka noor kahi
Wahin ruki hu
Wahin ruki hu jahan se
Tumhari rah mile
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile
Tumhi se janmu toh
Shayad mujhe panah mile
Labo se choom lo,
Aankho se tham lo mujhko.

More songs lyrics from Aastha: In The Prison Of Spring.