Kya Tarif Karu In Hasino Ki Lyrics

"Kya Tarif Karu In Hasino Ki" lyrics from Trishna sung by aziz nazan and music directed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and composed by anandji virji shah, kalyanji virji shah and lyrics written by indeevar (shyamalal babu rai)

Singer(s):

Kya Tarif Karu In Hasino Ki Lyrics


Kya tarif karu in hasino ki milte nahi alfaz
Ek hasin dhokha hota hai inka har andaz
Kya tarif karu in hasino ki milte nahi alfaz
Ek hasin dhokha hota hai inka har andaz

Dhokhe ko bhi dhokha de de aise dhokhebaz
Jinse khaya inse dhokha wohi jane ye rag
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Yar ho bhi gaye to ye wafadar nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Nahi hote nahi hote nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai

Ye phulo ki to fitrat hai
Hasino ki wo adat hai
Hasino ki wo adat hai
Ye phulo ki to fitrat hai
Sabhi se muskurate hai
Sitaro ki to adat hai
Najar sab se ladate hai
Najar sab se ladate hai
Kisi bhi ek ka hona nahi aata
Hasino ko diya pathar ka din
Kudrat ne sare nazamino ko

Sare nazamino ko
Sare nazamino ko
Apne hatho se rab se sawara
De diya hai inhe husn sara
De diya hai inhe husn sara
Wo kasis bhi ke hoti nahi kam
Inka diwana hai sara alam
Inka diwana hai sara alam
Rang or nur se bhar diya hai
Karam kudrat ne in par kiya hai
Karam kudrat ne in par kiya hai
Karam kudrat ne in par kiya hai
Ek murwat na di ek mohabbat na di
Or baki to sab kuch diya hai
Or baki to sab kuch diya hai
Or baki to sab kuch diya hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Yar ho bhi gaye to ye wafadar nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Nahi hote nahi hote nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai

Usul inka nahi koi kare
Jo bhi wo thoda hai
Kare jo bhi wo thoda hai
Koi yado me rahta hai
Kisi se nam joda hai
Kisi se nam joda hai
Ye apne banke bhi ye to
Raha karte hai begane
Khuda inko na pahchana

To banda kaise pahchane
To banda kaise pahchane
To banda kaise pahchane
Gair ki baho me jhul jaye
Sath barso ka yu bhul jaye
Sath barso ka yu bhul jaye
Ye irade badalte hai kaise
Jaise mausam badalta hai waise
Jaise mausam badalta hai waise
Inki ulfat me har pal andesha
Nahi rahte kisi ke hamesha
Nahi rahte kisi ke hamesha
Nahi rahte kisi ke hamesha
Hasi jitna hai jo bewafa utna wo

Bewafai hasino ka pesha
Bewafai hasino ka pesha
Bewafai hasino ka pesha
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote haiy
Yar ho bhi gaye to ye wafadar nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai
Nahi hote nahi hote nahi hote hai
Husn wale kisi ke yar nahi hote hai.

More songs lyrics from Trishna.