Kya Bataun Tumhe Lyrics

"Kya Bataun Tumhe" lyrics from Phir Bewafaai sung by agam kumar nigam and music directed by sawan kumar and composed by sawan kumar and lyrics written by sawan kumar

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Kya Bataun Tumhe Lyrics


Jinpe ilzaam bewafai ka
Unse umeed e wafa karta hoon
Zakhm khaye hain jo mohabbat mein
Dastaan unki bayan karta hoon

Kya bataun tumhe doston ishq mein
Bewafa se wafa kar raha hoon
Kya bataun tumhe doston ishq mein
Bewafa se wafa kar raha hoon

Wo gaye hain badal doston aaj kal
Wo gaye hain badal doston aaj kal
Main to marne ki dua kar raha hoon

Kya bataun tumhe doston ishq mein
Bewafa se wafa kar raha hoon
Kya bataun tumhe doston ishq mein

Pherli jabse usne nigahein
Suni suni hui dil ki rahein
Aa gayi zindagi uss jagah pe
Har taraf hai jahan sirf aahein

Jaanta hai khuda usko deke dua
Jaanta hai khuda usko deke dua
Apna haq main ada kar raha hoon

Wo gaye hain badal doston aaj kal
Main to marne ki dua kar raha hoon
Kya bataun tumhe doston ishq mein

Kam na hongi jo wo dooriyan hain
Door tak ab to majbooriyan hain
Na wafaein meri kaam aayi
Meri kismat mein benooriyan hain

Maine ki hai wafa usne di hai dagha
Maine ki hai wafa usne di hai dagha
Jaan uspe fida kar raha hoon

Wo gaye hain badal doston aaj kal
Wo gaye hain badal doston aaj kal
Main to marne ki dua kar raha hoon
Kya bataun tumhe doston ishq mein.

More songs lyrics from Phir Bewafaai.