Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai Lyrics

"Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai" lyrics from Endless Love Kitni Yaad Aati Hai sung by pankaj udhas and music directed by pankaj udhas and composed by pankaj udhas

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai Lyrics


Kuch nasha to
Aapki baat ka hai
Kuch nasha to
Dhimi barsaat ka hai
Kuch nasha to
Aapki baat ka hai
Kuch nasha to
Dhimi barsaat ka hai
Humein aap yunhi
Sharaabi na kahiye
Iss dil pe asar to
Aapki mulakaat ka hai
Kuch nasha to aapki baat ka hai

Tu haqikat hain jo lagata
Hain khayalo ki tarah
Phool ki khusbooki baadal
Ki misalo ki tarah
Koi bhi waqt ho rehata
Hain ujalo ki tarah
Din mein hain roshani aur
Chanda meri raat ka hai
Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dhimi barsaat ka hai

Naam jo mera kabhi
Aaya teri baato mein
Chandani fail gai
Jaise meri raato mein
Aa gaya jab se tera
Hath mere hatho mein
Darr na ab mujhko
Zamane ka na haalat ka hai
Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dhimi barsaat ka hai

Ab yahin soch hain
Bas tere liye hi sochu
Sher mein jo bhi likhun
Tere liye hi likhun
Na tujhe dekhane
Dun na aur kiski ko dekhun
Ab to bas ek hi sapna
Mere din raat ka hai
Kuch nasha to
Aapki baat ka hai
Kuch nasha to
Dhimi barsaat ka hai
Humein aap yunhi
Sharaabi na kahiye
Iss dil pe asar to
Aapki mulakaat ka hai
Kuch nasha to
Aapki baat ka hai
Kuch nasha to
Dhimi barsaat ka hai.

More songs lyrics from Endless Love Kitni Yaad Aati Hai.