Kisi Ke Thukra Kar Lyrics

"Kisi Ke Thukra Kar" lyrics from Pocket Maar sung by lata mangeshkar and music directed by madan mohan kohli and composed by madan mohan kohli and lyrics written by rajendra krishan

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Kisi Ke Thukra Kar Lyrics


Kisi ke thukraakar armaan
Na jaao bedardi nadaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata
Arre anjaan nahin aasan
Bahaaron ke aise samaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata

Shamaa tak aakar parwaane
Kahaan jaata hai deewaane
Shamaa tak aakar parwaane
Kahaan jaata hai deewaane
Yoonhi kyun hota hai hairaan
Nazaakat mauke ki pahchaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata
Kisi ke thukraa kar armaan
Na jaao bedardi nadaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata

Sada ik baat nahin hoti
Haseen har raat nahin hoti
Sada ik baat nahin hoti
Haseen har raat nahin hoti
Bharosa kya ghataaon ka
Sada barsaat nahin hoti
Sada barsaat nahin hoti
Ye rut hai do din ki mehmaan
Na hogi kal koyal ki taan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata
Kisi ke thukraa kar armaan
Na jaao bedardi nadaan
Ye mausam roz nahin aata
Ye mausam roz nahin aata.

More songs lyrics from Pocket Maar.