Kar Sakega Na Lyrics

"Kar Sakega Na" lyrics from Aaiye sung by g. m. durrani, lata mangeshkar and music directed by shakat ali dehlavi (nashad) and composed by shakat ali dehlavi (nashad) and lyrics written by nakhshab jarchavi

Lyricist(s):
Music Director(s):

Kar Sakega Na Lyrics


O baad muddat ke hua
Door andhera gham ka
O aaj se phir meri
Kismat ka sitara chamaka
Kar sakega na juda tumako
Kabhi hamase zamana
Kar sakega na juda tumako
Kabhi hamase zamana
Chal sakega na kisi ka bhi
Koi hamase bahana
Kar sakega na juda tumako
Kabhi hamase zamana
Kar sakega na juda tumako
Kabhi hamase zamana

Jo sharte lagai thi hui aaj
Wo poori ke hui aaj wo poori
Sachchi hai mohabbat
To rahe kaise adhuri
To rahe kaise adhuri
Pad ke duniya ke jhamelo
Mein kahi bhul na jana
Pad ke duniya ke jhamelo
Mein kahi bhul na jana
Chal sakega na kisi ka
Bhi koi hamase bahana
Kar sakega na juda tumko
Kabhi hamase zamana

O kaliya hai kahi phool
Kahi chaand sitaare
Diwana hua jata hai
Dil yaar ke maare
Aao phir gaaye gale mil ke
Mohabbat ka taraana
Aao phir gaaye gale mil ke
Mohabbat ka taraana
Chal sakega na kisi ka
Bhi koi hamase bahana
Chal sakega na kisi ka
Bhi koi hamase bahana
Kar sakega na juda tumko
Kabhi hamase zamana
Kar sakega na juda tumko
Kabhi hamase zamana.

More songs lyrics from Aaiye.