Kar Chale Hum Fida song Lyrics

"Kar Chale Hum Fida song" lyrics from independence day songs sung by mohammed rafi and music directed by madan mohan and composed by madan mohan and lyrics written by kaifi azmi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Kar Chale Hum Fida song Lyrics


Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon

Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon,
Ab tumhare hawale, watan saathiyon,

Saans thamti gayi, nabz jamti gayi
Phir bhi badhte kadam ko na rukne diya
Kat gaye sar hamaare, toh kuch gham nahin
Sar Himalaya ka humne na jhukne diya
Marte marte raha baankpan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Zinda rehene ke mausam, bahut hai magar
Jaan dene ki rut roz aati nahin
Husn aur ishq dono ko ruswa kare
Woh jawaani jo khoon mein naahati nahin
Aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
Ab tumhare hawaale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon

Raah qurbaaniyon ki na veeran ho
Tum sajaathe hi rehna naye kaafile
Fathe ka jashn is jashn ke baad hein
Zindagi maut se mil rahi hai gale
Bandlo apne sar se kafan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon..

Khench do apne khoon se zameen par laqeer
Iss tarah aane ne paaye na raawan koyi
Tod do haath agar haath uthne lage
Chhune paaye na Sita ka daaman koyi
Ram bhi tum, tumhi Lakshman saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon
Kar chale ham fida, jaan-o-tan saathiyon
Ab tumhare hawale, watan saathiyon….

More songs lyrics from independence day songs.