Kajre Ki Baati Lyrics

"Kajre Ki Baati" lyrics from Sawan Ko Aane Do sung by k. j. yesudas (kattassery joseph yesudas), sulakshana pandit (sulakshana pratap narain pandit) and music directed by raj kamal and composed by raj kamal and lyrics written by maya govind

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Kajre Ki Baati Lyrics


Ye mat janiyo tum bichude mohe chain
Jaise ban ki lakdi sulagti ho din rain
Kajre ki bati asuwan ke tel mein
Aali main har gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki bati asuwan ke tel mein
Aali main har gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki bati

Chanchal se naino mein kajal ko aanj kar
Bikhri in palko mein rajni ko bandh kar
Sinduri aachal mein taro ko tak kar
Adhro ke pyalo mein chumban ko dhal kar
Atka kar sabke man preet ki gulel mein
Mari na jau kahi apne hi is khel mein
Sapne hi tut gaye is tal mel mein
Aali main har gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki bati

Tan ki surahi mein yowan ki hala
Chitwan mein madhoshi ango me jwala
Chal chal chalke jo madira ka pyala
Gori tu lage hai puri madhushala
Nasha hi nasha hai in anguri bel mein
Pyala or madira in dono ke mel mein
Nasha hi nasha hai in anguri bel mein
Virah ke phool hai jiwan ki bel mein
Aali main har gayi ankhiyan ke khel mein
Kajre ki bati.

More songs lyrics from Sawan Ko Aane Do.