Jangal Mein Ek Sher Soya Tha Lyrics

"Jangal Mein Ek Sher Soya Tha" lyrics from Roti Kee Keemat sung by sudesh bhonsle and music directed by bappi lahiri and composed by bappi lahiri

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Jangal Mein Ek Sher Soya Tha Lyrics


Jangal mein ek sher soya tha
Meethe khaabon mein soya tha
Sher ki peeth par chuha aaya
Kat kat kuch shor machaya
Jaaga sher usko gussa aaya
Cheekha chillaya ghuraya

Chuha ghabhraya thar thar yaa
Usko thoda shu shu aaya
Phir kyaa huaa shankar bhaiya
Sher ki aankhein dekhi jhalti
Chuha chu chu chu chu bola
Sher ji maaf karon meri galati
Gussein mein woh aur chillaya
Abhi abhi tujhe khaa jaunga
Kachcha tujhe chaba jaunga
Chuha haath jhod ke bola
Mera bajhan to hain ek tola
Pura hiran bhi aapko kam hain
Kaise bujhega bhookh ka shola
Maaf kiya to bach jaaunga
Aapke kaam kabhi aaunga
Sher gusse se phir ghuraya
Chuha sher ke kaam aayega
Mujh pe ye ilzaam aayega
Thar thar thar tharaya
Aankh mein uske paani aaya
Main apne bacho ka deewana
Soye the aap na maine jaana
Dhundh ne nikala thaa kuch khana
Bachhe bhukhe mar jaayenge
Chhote hain kaise jee paayenge
Mujh par thoda tars to khaao
Sher ko uss par tars aaya

Bola maaf kiya tum jaao
Chuha fudak fudak kar bhaaga
Sher ke dil mein ghamand jaaga
Itane mein ek aaya shikaari
Jaanvaro ka thaa vaypaari
Usne jhaal kuch aisa feka
Sher ne khud ko jhaal mein dekha
Ussne pura jhor lagaya
Par woh jhaal ko tod na paaya
Uchhala tadpa aur ghuraya
Uchhala tadpa aur ghuraya

Sunke jise wahin chuha aaya
Sher se bola mat ghabharana
Mera kaam hain tumhein chhudana
Mat ghbhrana mat ghbhrana
Daant hain jaise meethi aari
Kaat te rakh de parbat bhaari
Chuhein ne kamaal dikhaya
Kaat ke jhaal ko sher ko chhudaya
Apne jo aajad jo paaya
Sher ne chuhein ko dost banaya
Masti mein woh naacha kuda
Aur filam ka ghaan gaaya

Bahot shukriya badi meharbaani
Meri zindagi mein huzoor
Aap aaye bahot shukriya
Iss liye bachho kisi ne kaha hain
Chhoto ko chhota mat jaano
Mat samjo bekaar
Sui jahan par kaam aaye
Wahan par kyaa karegi talvaar
Waah sankar bhaiya waah

Are chhoto ko chhota mat jaano
Mat samjo bekaar
Sui jahan par kaam aaye
Wahan par kyaa karegi talvaar
Nafrat nahin kisi se karna
Karna sabse pyaar pyar pyar..
Pyaar se bada na koi dharam hain
Pyaar hi humko pyaara
Chalo bachho tum bhi gaaona

Pyaar se bada na koi dharam hain
Pyaar hi humko pyaara
Pyaar se bada na koi dharam hain
Pyaar hi humko pyaara.

More songs lyrics from Roti Kee Keemat.