Jane Kya Hain Jee Darta Hain Lyrics

"Jane Kya Hain Jee Darta Hain" lyrics from Ek Pal sung by lata mangeshkar and music directed by bhupen hazarika and composed by bhupen hazarika and lyrics written by gulzar (sampooran singh kalra)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Jane Kya Hain Jee Darta Hain Lyrics


Jane kya hain jee darta hain
Ro dene ko jee karta hain
Apne aap se dar lagta hain
Dar lagta hain kya hoga
Jane kya hain jee darta hain
Ro dene ko jee karta hain
Apne aap se dar lagta hain
Dar lagta hain kya hoga

Saans hamari saans nahin
Mange mange lagti hain
Pyas lage to pyas hamari
Aadhi aadhi lagti hain
Jaan hamari aur kisi se
Banti huyi lagti hain
Apne aap se dar lagta hain
Dar lagta hain kya hoga

Paule paule nakhuno se
Andar andar chhile
Satani se chutki kate
Ang bhi pad gaye nile
Paule paule nakhuno se
Andar andar chhile
Satani se chutki kate
Ang bhi pad gaye nile
Bairi mera sangi mera
Meri bhukh aur pyas
Lahu mera mash hai mera
Mera had aur mash
Jeevan deke pal rahi hoon
Pal rahi hoon jeevan main
Apne aap se dar lagta hain
Dar lagta hain kya hoga

Jane kya hain jee darta hain
Ro dene ko jee karta hain
Apne aap se dar lagta hain
Dar lagta hain kya hoga
Kya hoga kya hoga.

More songs lyrics from Ek Pal.