Jab Suna Suna Tumhen Lyrics

"Jab Suna Suna Tumhen" lyrics from Dhanak sung by ashok khosla and music directed by ashok khosla and composed by ashok khosla and lyrics written by neeraj shrivastava

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Jab Suna Suna Tumhen Lyrics


Jab suna suna tumhen
Lage jeevan apna
Jab suna suna tumhen
Lage jeevan apna
Tum mujhe bulana main
Ghunjan ban aaunga
Jab suna suna tumhen
Lage jeevan apna

Jis din tak baghiyan mein
Bhanwaro ki rahe bheed
Uss din tum mat aane
Dene mujhe paas
Jis din tak bulbul
Gaati rahe baharo ko
Uss din tak mat puchhana
Main kyun hun udaas
Lekin jis din path par
Sapno ki dhul udde
Lekin jis din path par
Sapno ki dhul udde
Tum mujhe bulana main
Chandan ban aaunga
Jab suna suna tumhen
Lage jeevan apna

Mera mann to hain kaid
Kafan ke ghunghat mein
Tann marghat ke hatho
Ka ek khilona hain
Ye meri saanse meri
Hi zanjeere hain
Kuchh ghyat nahi is jagah
Mujhe kab sona hai
Iss par bhi yadi shringaar
Tumhen mera bhaye
Iss par bhi yadi shringaar
Tumhen mera bhaye
Tum mujhe bulana main
Darpan ban aaunga
Jab suna suna tumhen
Lage jeevan apna

Jab suna suna tumhen
Lage jeevan apna
Tum mujhe bulana main
Ghunjan ban aaunga
Jab suna suna tumhen
Lage jeevan apna.

More songs lyrics from Dhanak.