Jab Raat Hai Aisi Matwaali Lyrics

"Jab Raat Hai Aisi Matwaali" lyrics from Mughal-E-Azam sung by lata mangeshkar and music directed by naushad ali and composed by naushad ali and lyrics written by shakeel badayuni

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Jab Raat Hai Aisi Matwaali Lyrics


Ye dil ki lagi kam kya hogi
Ye ishq bhala kam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga

Naghmon se barasti hai masti
Chhalke hain khushi ke paimaane
Chhalke hain khushi ke paimaane
Aaj aisi bahare aayi hain
Kal din me banenge afsaane
Kal din me banenge afsaane
Ab isse zyada aur haseen
Ye pyaar ka mausam kya hoga
Ab isse zyada aur haseen
Ye pyaar ka mausam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga

Ye aaj ka rang aur ye mehfil
Dil bhi hai yaha dildaar bhi hai
Dil bhi hai yaha dildaar bhi hai
Aankhon me qayaamat ke jalwe
Seene me tadapta pyaar bhi hai
Seene me tadapta pyaar bhi hai
Is rang me koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Is rang me koi jee le agar
Marne ka usse gham kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga

Haalat hai ajab deewano ki
Ab khair nahin parwaano ki
Ab khair nahin parwaano ki
Anjaame muhabbat kya kahiye
Lay badhne lagi armaano ki
Lay badhne lagi armaano ki
Aise me jo paayal toot gayi
Phir ai mere hamdam kya hoga
Aise me jo paayal toot gayi
Phir ai mere hamdam kya hoga
Jab raat hai aisi matwaali
Phir subah ka aalam kya hoga
Phir subah ka aalam kya hoga.

More songs lyrics from Mughal-E-Azam.