Jaane Kyun Lyrics

"Jaane Kyun" lyrics from Veer-Zaara sung by lata mangeshkar and music directed by madan mohan kohli and composed by madan mohan kohli and lyrics written by javed akhtar

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Jaane Kyun Lyrics


Jaane kyun khwaabon ka
Mausam hai aur main hun
Mausam hai aur main hun
Jaane kyun yaadon ki
Shabnam hai aur main hun
Shabnam hai aur main hun
Yaadein laayi hain
Khushiyaan bhi aansoo bhi
Jaane kyun ik aisa
Sangam hai aur main hun
Sangam hai aur main hun

Barse jo rang itne saare
Rangeen huwe sab nazaare
Barse jo rang itne saare
Rangeen huwe sab nazaare
Lekin mera dil kahin bhi
Lagta nahin bin tumhaare
Tumko bas tumko dil
Dhhundhhe dil maange
Jaane kyun har lamha ye
Sitam hai aur main hun
Ye sitam hai aur main hun
Jaane kyun khwaabon ka
Mausam hai aur main hun
Mausam hai aur main hun..

Ye vaadi ab so gayi hai
Kohre mein hi kho gayi hai
Ye vaadi ab so gayi hai
Kohre mein hi kho gayi hai
Saari fiza saans roke
Gumsum si ab ho gayi hai
Saari duniya mein
Ab koyi nahin jaise
Jaane kyun bas mera
Hamdam hai aur main hun
Hamdam hai aur main hun
Jaane kyun yaadon ki
Shabnam hai aur main hun
Shabnam hai aur main hun
Yaadein laayi hain
Khushiyaan bhi aansoo bhi
Jaane kyun ik aisa
Sangam hai aur main hun
Sangam hai aur main hun
La la la la la la la
Hmm… hmm… hmm… aur main hun.

More songs lyrics from Veer-Zaara.