Jaane Bahaar Yaaro Ka Yaar Lyrics

"Jaane Bahaar Yaaro Ka Yaar" lyrics from Jaan-E-Bahaar sung by kishore kumar and music directed by bappi lahiri and composed by bappi lahiri and lyrics written by gauhar kanpuri

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Jaane Bahaar Yaaro Ka Yaar Lyrics


He main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana
He main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana

Hum jo bahke mahke bahare
Hum hase to hasti hai kaliya
Hum ruke to ruk jaye rahe
Hum chale to chalti hai dunia
Main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Mani jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana

Hai ye dharti apna bishtar
Or gagan hai apni chadar
Shardi garmi aandhi tufa
Apne aage ek barabar
Main hu rahi mastana
Mujhe samjho na diwana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana

Itna sa hai mera fasana
Sabke bigde kam banana
Apno se hai yaari apni
Gairo ko bhi apna jana
Main hu rahi mastana
Mujhe samjho na deewana
Main jamane se nahi hu
Mere dam se hai zamana
Jane bahar yaro ka yar
Yaro mujhe sabse hai pyar.

More songs lyrics from Jaan-E-Bahaar.