Jaako Raakhe Saaiye Lyrics

"Jaako Raakhe Saaiye" lyrics from Suraj Aur Chanda sung by lata mangeshkar, mukesh chand mathur (mukesh) and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by anand bakshi

Lyricist(s):

Jaako Raakhe Saaiye Lyrics


Honi to ho ke rahe
Honi to ho ke rahe anahoni na hoye
Jako rakhe saiyaa mar sake na koye
Jako rakhe saiyaa mar sake na koye
Honi to ho ke rahe
Honi to ho ke rahe anahoni na hoye
Jako rakhe saiyaa mar sake na koye
Jako rakhe saiyaa mar sake na koye

Kans ne kitne jatan kiye re bhaiya
Kans ne kitane jatan kiye
Lekin tumane dekha
Sau talvare mita saki na
Bhagya ki ek bhi rekha
Sau talvare
Kishan ka aisa janam hua
Atyachar yun khatm hua
Bandighar ke dwar khule
Aur paharedar soye
Jako rakhe saiya mar sake na koye
Jako rakhe saiya mar sake na koye

Chhut gayi jinse apne re bhaiya
Chhut gayi jinse apne
Bachpan ki sundar galiya
Bagiya ke badle ban me
Dekhi khilti vo kaliya
Bagiya ke badle
Khel hai jog sanjog ka
Sach kahna hai logo ka
Rit atal ye jivan ki koi hanse ya roye
Jako rakhe saiya mar sake na koye
Jako rakhe saiya mar sake na koye

Hath samay ka is dunia me
Hath samay ka is dunia me
Koi rok na paya
Dhokha dene vaale ne
Ek din khud dhokha khaya
Dhokha dene vaale ne
Ek din khud dhokha khaya
Aaj mile ya chahe kal
Milta hai karmo ka phal
Phul vo kaise payega
Jisne ho kaate boye
Jako rakhe saiya mar sake na koye
Jako rakhe saiya mar sake na koye
Honi to ho ke rahe anahoni na hoye
Jako rakhe saiyaa mar sake na koye
Jako rakhe saiyaa mar sake na koye.

More songs lyrics from Suraj Aur Chanda.