Isse Pyar Kaise Karoon Lyrics

"Isse Pyar Kaise Karoon" lyrics from Khosla Ka Ghosla! sung by kunal ganjawala, sowmya raoh and music directed by bapi, dhruv dhalla, tutul and composed by bapi, dhruv dhalla, tutul and lyrics written by jaideep sahni

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Isse Pyar Kaise Karoon Lyrics


Na ataa na pata sochati hai yeh kya
Na hai sar na hai paanv kaunsa iska gaanv
Phatphati si lage chatpati si lage
Kuchh nahi hai magar dosti si lage
Naa badalti na sambhalti
Yun yeh jamti yun pighalti
Kya hai yeh kya pata
Kya hai yeh kya pata
Intezaar aitbaar isse pyar kaise karu

Na ataa na pata sochata hai yeh kya
Na hai sar na hai paanv kaunsa iska gaanv
Ghus gaya kaise yeh
Dil mein kis raaten
Bewkuff thoda sa aaste aaste
Apane mein dooba sa hai yeh ajooba sa
Kya musibat hai yeh
Kya musibat hai yeh
Intezaar aitbaar isse pyar kaise karu

Kaise karu un baaton ka yakeen
Jo kehta hi nahi
Yeh rok leta hai jin khayalon ko
Kehta hi nahi
Kaise karu main usse koi baat
Jo din ho ya ho raat
Udti hi phirti hai ek pal jo kahi pe
Rehti nahi
Kya hai yeh kya pata
Kya hai yeh kya pata
Intezaar aitbaar isse pyar kaise karu

Na ataa na pata sochati hai yeh kya
Na hai sar na hai paanv kaunsa iska gaanv
Kya musibat hai yeh
Kya musibat hai yeh
Intezaar aitbaar isse pyar kaise karu..

More songs lyrics from Khosla Ka Ghosla!.