Isako Bhi Apnata Chal Lyrics

"Isako Bhi Apnata Chal" lyrics from Nai Umar Ki Nai Fasal sung by mohammed rafi and music directed by roshanlal nagrath (roshan) and composed by roshanlal nagrath (roshan) and lyrics written by gopaldas saxena (neeraj)

Singer(s):
Music Director(s):

Isako Bhi Apnata Chal Lyrics


Isako bhi apnata chal
Us ko bhi apnata chal
Raahi hai sab ek dagar
Ke sab par pyaar lutata chal
Isako bhi apnata chal
Us ko bhi apnata chal

Idhar kafan tak nahi laash
Par udhar numaayish resham ki
Yaha swayavar kare chaandani
Waha na raat kate gam ki
Dharati kakar patthar
Maare ambar ugale agaare
Koi puchhe baat na is bagiyaa
Me dukhiyaa shabanam ki

Sukh ki umr badhata chal
Dukh ko kafan odhata chal
Mile jahaan bhi mahal use
Kutiyaa ke paas bulata chal
Isako bhi apnata chal
Us ko bhi apnata chal

Bikaa biki sab or machi
Hai aane yaa do aano par
Ismat bike doraaho par
To pyaar bike dukaano par
Dagar dagar par mandir masjid
Qadam qadam par gurudvaare
Bhagavaano ki basti me
Hai zulm bahut inasaano par

Khidaki har khulavata
Chal saantal har katavata chal
Is par bhi roshani na ho
To dil kaa diyaa jalata chal
Isako bhi apnata chal
Us ko bhi apnata chal

Ridarde ke bich khaaiyaan
Lahu bichhaa maidaano me
Ghum rahe hai yuddh sadak
Par shaati chhipi shamashaano me
Zajire kat gai magar
Aazad nahi inasaan abhi
Duniyaa bhar ki khushi qaid
Hai chaandi jade makaano me

Tat tat raas rachata chal
Panaghat panaghat gata chal
Pyaasaa hai har praan nayan
Kaa gagaa jal chhalakata chal
Isako bhi apnata chal
Us ko bhi apnata chal

Nayan nayan tarase sapno
Ko aanchal tarase phulo ko
Aangan tarase tyohaaro ko
Galiyaan tarase jhulo ko
Kisi hoth par baje na
Basi kisi haath me bin nahi
Umar samudar ki de daali
Kis ne chad babulo ko

Soi kiran jagata chal
Ruthi subahe manata chal
Pyaar naqaabo me na bad ho
Har ghunghat khulavata chal
Isako bhi apnata chal
Us ko bhi apnata chal.

More songs lyrics from Nai Umar Ki Nai Fasal.