Ik Dil Kaa Lagana Lyrics

"Ik Dil Kaa Lagana" lyrics from Anokha Pyar sung by lata mangeshkar and music directed by anil krishna biswas and composed by anil krishna biswas and lyrics written by zia sarhadi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ik Dil Kaa Lagana Lyrics


Ik dil kaa lagana baqi tha
So dil bhi lagake dekh liya
Taqdeer kaa rona kam naa
Huwa aansu bhi behke dekh liya
Ik dil kaa lagana

Ik bar bhulana chaha tha
Sau bar woh hamako yaad aaya
Ik bar bhulana chaha tha
Sau bar woh hamako yaad aaya
Ik bhulanewale ko hamane
Sau baar bhulake dekh liya
Ik bhulanewale ko hamane
Sau baar bhulake dekh liya
Ik dil kaa lagana

Abb tak toh samajh mein aa naa saka
Iss dil kee tamannaye kya hain
Abb tak toh samajh mein aa naa saka
Iss dil kee tamannaye kya hain

Sau bar sau bar hansake dekh liya
Sau bar rulake dekh liya
Sau bar hansake dekh liya
Sau bar rulake dekh liya
Ik dil kaa lagana baqi tha so
Dil bhi lagake dekh liya
Ik dil kaa lagana.

More songs lyrics from Anokha Pyar.