Hum Teri Lagan Mein Magan Lyrics

"Hum Teri Lagan Mein Magan" lyrics from Zindagi Aur Hum sung by sudha malhotra, suman kalyanpur and music directed by roshanlal nagrath (roshan) and composed by roshanlal nagrath (roshan) and lyrics written by shiv kumar saroj

Lyricist(s):
Music Director(s):

Hum Teri Lagan Mein Magan Lyrics


Ham teri lagan mein magan
Bahut din bhatke
Dukh paya ham ne naam
Sanam ka raat ke
Ham teri lagan mein magan
Bahut din bhatke

Dil hai ki nahin aataa hai
Bahlaane mein
Dil hai ki nahin aataa hai
Bahlaane mein
Kyaa jaane kya ho gaya
Ye anjaane mein
Ye khel khel mein dekh
Prem ke latke
Dukh paya ham ne naam
Sanam ka raat ke
Ham teri lagan mein magan
Bahut din bhatke

Man mein hai kuchh
Meethi meethi tadpan si
Badhti jaati hai
Chhaati ki dhadkan si
Dil tod na daale
Prem panth ke jhatke
Dukh paya ham ne naam
Sanam ka raat ke
Ham teri lagan mein magan
Bahut din bhatke

Lahron mein bahkar
Ho gaye nyare nyare
Lahron mein bahkar
Ho gaye nyare nyare
Ham se naiyya
Naiyya se door kinaare
Armaan na jaane
Kahaan kahaan ja bhatke
Dukh paya ham ne naam
Sanam ka raat ke
Ham teri lagan mein magan
Bahut din bhatke.

More songs lyrics from Zindagi Aur Hum.