Hum Na Kehte The Lyrics

"Hum Na Kehte The" lyrics from Khufia Mahal sung by prabodh chandra dey (manna dey), suman kalyanpur and music directed by chand pardesi and composed by chand pardesi and lyrics written by zafar rahi

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Hum Na Kehte The Lyrics


Hai jo takdir me sahil
To milega sahil chod do
Aaj se pina kahi tufano me

Aap nikalte hai to khi jate hai
Pathar par bhi lout aati hai
Bahare kabhi virano me

Kissa e ahle wafa
Ahle jafa chal jaye
Husn aur ishk ki mahfil me
Jara jal jaye
O aap khud apni hakikat ko
Nahi jante hai
Aayina samne rakhiye
To pata chal jaye

Zindgi hai to haseeno ka
Salam aayega
Zindgi hai to haseeno ka
Salam aayega
Pyase hotho ki taraf koi to
Jam aayega
Pyase hotho ki taraf koi to
Jam aayega
Zindgi hai to haseeno ka
Salam aayega
Zindgi hai to haseeno ka
Salam aayega

Aap kya hai jo haseeno ka
Salam aayga
Aap kya hai jo haseeno ka
Salam aayga
Hosh ud jayege jab rakt me
Jam aayega
Hosh ud jayege jab rakt me
Jam aayega

Khwab lat se jaga jayega
To acha hoga
Hum hai kya humko bata
Jaye to acha hoga
Khwab lat se jaga jayega
To acha hoga
Hum hai kya humko bata
Jaye to acha hoga

Hum fakiro ke liye aap hi
Aayina hai
Aap hi samne aa jaye to
Acha hoga
Hum fakiro ke liye aap hi
Aayina hai
Aap hi samne aa jaye to
Acha hoga
Aap jo kuch bhi kahange
Hume hoga manzur
Aap jo kuch bhi kahange
Hume hoga manzur
Husan ka aayina ab ishq ke
Kam aayega
Husan ka aayina ab ishq ke
Kam aayega
Zindgi hai to haseeno ka
Salam aayega

Husan ke waste mit mit ke sawarna
Hoga gul ki hajat hai to
Kato se guzarna hoga
Husan ke waste mit mit ke sawarna
Hoga gul ki hajat hai to
Kato se guzarna hoga

Apko rasme wafa kya hai ye
Malum nahi
Reh ke tufan ki mojo me
Ubharna hoga
Apko rasme wafa kya hai ye
Malum nahi
Reh ke tufan ki mojo me
Ubharna hoga

Ishq jab aag ke dariya se
Guzar jayega
Ishq jab aag ke dariya se
Guzar jayega
Tab kahi ja ke mohobat ka
Mukam aayega
Tab kahi ja ke mohobat ka
Mukam aayega
Aap kya hai jo haseeno ka
Salam aayga

Dard ki raah me hum barsenge
Pathar bankar
Gam ke sine me utar jaynge
Khanjar bankar
Dard ki raah me hum barsenge
Pathar bankar
Gam ke sine me utar jaynge
Khanjar bankar
Hum tere nam se usko bhi
Laga lenge gale
Mout aa jayegi jab apna
Mukadar bankar
Hum tere nam se usko bhi
Laga lenge gale
Mout aa jayegi jab apna
Mukadar bankar

Hosla ye hai to mil jayenge
Ye hath abhi
Husan se ishq ki hona hai
Mulakat abhi
Hosla ye hai to mil jayenge
Ye hath abhi
Husan se ishq ki hona hai
Mulakat abhi

Hai jo bigdi hui ban
Jayegi vo bat abhi
Parda utha jayega tutnge
Hijabat abhi
Hai jo bigdi hui ban
Jayegi vo bat abhi
Parda utha jayega tutnge
Hijabat abhi

Dil me hai to mohobat ka
Payam aayega
Dil me hai to mohobat ka
Payam aayega.

More songs lyrics from Khufia Mahal.