Hey Priye Tumhaare Lyrics

"Hey Priye Tumhaare" lyrics from Ram Darshan sung by mukesh chand mathur (mukesh) and music directed by shankar rao vyas and composed by shankar rao vyas and lyrics written by ramesh gupta

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Hey Priye Tumhaare Lyrics


Hey priye tumhaare swaagat ko. . .
Hain pran mere taiyyaar
Maine dekha hai aaj chaand
Dharti par pehli baar

Taaron ke jhurmut dhoondh rahe
Chandaa ko gagan ataari mein
Mere aangan mein chaand ugaa
Andhiyaara hai shrishti saar mein
Phir jhan jhan jhan jhan jhanak utthhe
Meri mann veena ke taar
Maine dekha hai aaj chaand
Dharti par pehli baar

Ghabraawo nahin muskaao zara
Ab ham se nazar churaao nahin
Hai yug yug ki pehchaan
Nahin hai anjaan aji sharmaao nahin
Nainon ko nain bataa denge
Ye jeet huyi ya haar
Maine dekha hai aaj chaand
Dharti par pehli baar

Main bhramar nahin ras ka lobhi
Main patang hoon jal jaaunga
Main paagal premi hoon tera
Kalpana ka swarg banaaungaa
Phir hum dono ko irhsaa se
Dekhega sab sansaar
Maine dekha hai aaj chaand
Dharti par pehli baar

Hey priye tumhaare swaagat ko. . .
Hain pran mere tayyaar
Maine dekha hai aaj chaand
Dharti par pehli baar.

More songs lyrics from Ram Darshan.