Hasne Ki Saza Lyrics

"Hasne Ki Saza" lyrics from Betaab sung by shamshad begum and music directed by shiv dayal batish and composed by shiv dayal batish and lyrics written by kaif irfani

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Hasne Ki Saza Lyrics


Mayus jawani dil gham ki
Kismat ki niyat thik nahi
Ab pir ki thokar kya kahiye
Manzil to kaha rasta na mila
Hasne ki saza hai rona
Rone ki saza malum nahi
Hasne ki saza hai rona
Rone ki saza malum nahi
Hasne ki saza hai rona
Aagaje mohabbat kar baithe
Anjaam zara malum nahi
Hasne ki saza hai rona

Dil jis se koi lagata hai
Wo kyu usko thukrata hai
Wo kyu usko thukrata hai
Yeh baat jo puchhi kismat se
Kismat ne kaha malum nahi
Hasne ki saza hai rona
Hans hans ke aankh milai thi
Ro roke huye hum unse zuda
Ro roke huye hum unse zuda
Yeh kaisa rog diya tumne
Hume jiski dawa malum nahi
Hasne ki saza hai rona

Kuch aur nahi bas itna hi
Ulfat mein hume malum hua
Ulfat mein hume malum hua
Ya unko wafa malum nahi
Ya humko zafa malum nahi
Hasne ki saza hai rona
Rone ki saza malum nahi
Hasne ki saza hai rona.

More songs lyrics from Betaab.