Hansa Rana Na Jao Chhod Ke Lyrics

"Hansa Rana Na Jao Chhod Ke" lyrics from Maha Sati Savitri sung by asha bhosle and music directed by avinash vyas and composed by avinash vyas and lyrics written by ramchandra baryanji dwivedi (kavi pradeep)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Hansa Rana Na Jao Chhod Ke Lyrics


Hansa rana na jao
Na jao chhod ke
Akeli mujhko
Na jao chod ke akeli
Hansa rana

Jagat ki aankho
Me na banao
Mujhko piya paheli
Na jao na jao
Chhod ke akeli
Hansa rana

Mat jao he pritam mere
Pinjra suna karke
Pinjra suna karke
Parwat jaisa bojha mere
Jiwan upar dhar ke
Jiwan upar dhar ke
Mai to tumhare
Sang me sajna
Mai to tumhare
Sang me sajna
Do din bhi na kheli
Na jao na jao
Chhod ke akeli
Hansa rana

Lambe safar par jana hai to
Mujhe bhi sang le jao
Mujhe bhi sang le jao
Piya na chodo
Bich bhawar me
Mujhe bhi par lagao
Mujhe bhi par lagao
Na jao na jao
Chhod ke akeli
Hansa rana
Na jao na jao
Chhod ke akeli mujhko
Na jao chhod ke akeli
Hansa rana.

More songs lyrics from Maha Sati Savitri.