Hamare Dard Ka Kissa Lyrics
"Hamare Dard Ka Kissa" lyrics from Gharana sung by paro devi and music directed by mohammed shafi niyazi and composed by mohammed shafi niyazi
Hamare Dard Ka Kissa Lyrics
Hamare dard ka kissa
Zamane se niraala hai
Zamane se niraala hai
Hame par kaat ke saiyaad
Ne ghar se nikala hai
Hame ghar se nikala hai
Ye dukh ke bhi nahin satate
Ye dukhde bhi nahin katate
Koi majbooriyan dekhe
Ke kuchh keh bhi nahin sakte
Bahot naazuk se dil par ye
Bahot naasoz ka taala hai
Bahot naasoz ka taala hai
Tadpna chahta hai dil
Magar tadpaa nahin chahta
Tadpna chahta hai dil
Magar tadpaa nahin chahta
Kahani munh pe hai un ki
Magar bola nahin jaata
Zubaan see kar hame
Bedard ne kaaton pe dala hai
Hame kaaton pe dala hai
Zamane ki shikaayat hai
Dukhe dil ki kahani hai
Ke jis aansoo mein ik
Khaamosh e jawaani hai
Wohi aansoo tere charnon
Mein hum ne dala hai
Hame ghar se nikala hai.
More songs lyrics from Gharana.