Hamara Kya Hai Hum Tadpe Lyrics

"Hamara Kya Hai Hum Tadpe" lyrics from Zindagi Ya Toofan sung by asha bhosle, talat mahmood and music directed by shakat ali dehlavi (nashad) and composed by shakat ali dehlavi (nashad) and lyrics written by nakhshab jarchavi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):

Hamara Kya Hai Hum Tadpe Lyrics


Hamara kya hai hum tadpe
Magar tumko karar aaye
Hamara kya hai hum tadpe
Magar tumko karar aaye
Magar tumko karar aaye
Bas itna ho hame bhi apne
Dil par ikhtiyar aaye
Magar tumko karar aaye
Hamara kya hai hum tadpe
Magar tumko karar aaye
Magar tumko karar aaye

Bahut aansu hai aankho mein
Bahut se dag hai dil mein
Na ab sawan ki rut aaye
Na ab fasle bahar aaye
Magar tumko karar aaye

Humi ne bewafai ki
Hami ne ye dua mangi
Hamari bewafai ka na tumko
Etbar aaye
Magar tumko karar aaye
Hamara kya hai hum tadpe
Magar tumko karar aaye
Magar tumko karar aaye

Jaha itna kiya hai
Aap ye bhi karam kar do
Tum apni yaad se kahdo
Na hargiz bar bar aaye
Magar tumko karar aaye
Magar tumko karar aaye.

More songs lyrics from Zindagi Ya Toofan.