Haan Ye Bholi Soorat Waale Lyrics

"Haan Ye Bholi Soorat Waale" lyrics from Char Dil Char Raahein sung by lata mangeshkar, mohammed rafi, rajkumari dubey, shiv dayal batish and music directed by anil krishna biswas and composed by anil krishna biswas

Music Director(s):
Composer(s):

Haan Ye Bholi Soorat Waale Lyrics


Haseenon ki adaayen bhi
Zamaane se niraali hain aen aen
Wafaa ka naam honthhon par hai
Dil andar se khaali hai ae
Haan ye bholi soorat waale
Dil ka lagana kya jaane
Haan ye bholi soorat waale
Dil ka lagana kya jaane
Aji jab dil chaha aa
Laga ke aag bujhana kya jaane

Aaa aaa nahin aata hai
Is duniya mein
Kisko pyaar ka sapna aa
Jise dekho hatheli par
Liye phirta hai dil apna

Haan ye dil ki daulat waale
Dil ka lagana kya jaane
Haan ye dil ki daulat waale
Dil ka lagana kya jaane
Inki nazar mein khel hai ulfat
Mit ke dikhana kya jaane
Haan ye dil ki daulat waale
Dil ka lagana kya jaane

Na hote ham to aakhir
Husnwaale bhi kahaan aan hote
Na raat itni haseen hoti ee
Na din itne jawaan hote
Hamne to ye ehsaan kiyaa hai
Wo bhi koi ehsaan karen
Hamne to ye ehsaan kiyaa hai
Wo bhi koi ehsaan karen
Honge hamaare dil ke tukde
Laakh kisi ka dhyaan karen
Honge hamaare dil ke tukde
Laakh kisi ka dhyaan karen
Dard basaakar hansne waale
Dard mitana kya jaane
Haan ye bholi soorat waale
Dil ka lagana kya jaane

Na hote ham to kisko
Jaa ke dil dete ye deewane
Hamaare naam se mashhoor
Hain ulfat ke afsaane
Saamne aaye kya munh lekar
Ab ye wafa ke matwaale
Saamne aaye kya munh lekar
Ab ye wafa ke matwaale
Pyaar se khaali dil ki duniya
Aur banen hain dil waale
Pyaar se khaali dil ki duniya
Aur banen hain dil waale
Rang na jisne dekha ulfat ka
Ham wo fasana kya jaane
Haan ye dil ki daulat waale
Dil ka lagana kya jaane.

More songs lyrics from Char Dil Char Raahein.