Haan Humne Pyar Kiya Lyrics

"Haan Humne Pyar Kiya" lyrics from Gunda sung by mohammed rafi, suman kalyanpur and music directed by g.s. kohli and composed by g.s. kohli and lyrics written by dev kohli

Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Haan Humne Pyar Kiya Lyrics


Haan humne pyar kiya
Kehde zamane se
Abhi nahi na na abhi nahi
O ho abhi nahi na na abhi nahi
Pyaar kahin chhupta hai aise chhupane se
Kabhi nahi na na kabhi nahi
Meri jaan kabhi nahin na na kabhi nahi

Tumhi se pyaar kiya hai ise chhupayein kyun
Kiya hai zurm humne kya nazar churayein kyun
Kiya hai pyaar magar aisi koi baat na kar
Zamane wale hum pe ungaliya uthaye kyun
Zamana kya hai zamane ne kiska saath diya
Humaari baat karo humne tumse pyaar kiya
Deewane aur na sataa yun na sataa yun na sataa
Ab toh dil ka raaz kehde dil ke deewane se
Abhi nahi na na abhi nahi
Meri jaan kabhi nahin na na kabhi nahi
Haan humne pyar kiya
Kehde zamane se
Abhi nahi na na abhi nahi
O ho abhi nahi na na abhi nahi

Ghata si zulf aaj khul ke mehek jaane de
Dhalak raha hai aaj yeh aanchal toh dhal jaane de
Sambhalo khud ko abhi aise bekaraar na ho
Balaa se dil behek raha hai behek jaane de
Teri adaaye dil ko jab yun bekaraar karein
Tab aake dard kab talak yun intezaar karein
Na chhed aise sanam tujhko kasam meri kasam
Ab toh dil se milne de dil kisi bahaane se
Abhi nahi na na abhi nahi
Meri jaan abhi nahi na na abhi nahi
Haan humne pyar kiya
Kehde zamane se
Kabhi nahi na na kabhi nahi
O ho abhi nahi meri jaan kabhi nahin
Pyaar kahin chhupta hai aise chhupane se
Kabhi nahi na na kabhi nahi
Meri jaan kabhi nahin na na kabhi nahi.

More songs lyrics from Gunda.