Ha Tima Tim Tim Dekho Lyrics

"Ha Tima Tim Tim Dekho" lyrics from Humkadam sung by chandrani mukherjee and music directed by bappi lahiri and composed by bappi lahiri and lyrics written by m. g. hashmat

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ha Tima Tim Tim Dekho Lyrics


Haa timaa tim tim
Dekho sar pe hain do seengh
Haa timaa tim tim
Dekho sar pe hain do seengh
Aaye achche din
Tota boley saaraa din
Ek hai angootaa
Unglee hain chaar
Dekho re paanchon mein
Hai kitnaa pyaar
Ek ko bhi
Ek ko bhi laage jo maar
Sabke sab hain bekaar
Ek ko bhi laage jo maar
Sabke sab hain bekaar
Haa timaa tim tim
Dekho sar pe hain do seengh
Aaye achche din
Tota boley saaraa din

Motor chalee
Pom pom karey
Tezee se dekho
Aagey badhey
Motor chalee
Pom pom kare
Tezee se dekho
Aagey badhey
Motor hai ek
Chakke hain chaar
Chaaron ke chalne se chalti hai car
Ek kaa bhi
Ek kaa bhi chhoote jo saath
Sab ke sab hain bekaar
Ek kaa bhi chhoote jo saath
Sab ke sab hain bekaar
Haa timaa tim tim
Dekho sar pe hain do seengh
Aaye achche din
Tota boley saaraa din

Pahaad pe ae
Gaadi bhaage
Peechhe ek engine
Doojaa aagey
Pahaad pe ae
Gaadi bhaage
Peechhe ek engine
Doojaa aagey
Kheenche ye dabbon ki
Lambi kataar
Donon ki taaqat naa
Maanegi haar
Donon mein se
Donon mein se ek naa chaley
Gaadi ho jaaye bekaar
Donon mein se ek naa chaley
Gaadi ho jaaye bekaar
Haa timaa tim tim
Dekho sar pe hain do seengh
Aaye achche din
Tota boley saaraa din.

More songs lyrics from Humkadam.