Gyan Ka Daan Hi Lyrics

"Gyan Ka Daan Hi" lyrics from Apne Apne sung by lata mangeshkar and music directed by rahul dev burman and composed by rahul dev burman and lyrics written by gulshan bawra (gulshan kumar mehta)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Gyan Ka Daan Hi Lyrics


Gyan ka daan hi
Sabse bada hain
Jise koi na loote
Gyan ka daan hi
Sabse bada hain
Jise koi na loote
Gyan ka rista sacha rista
Gyan ka rista sacha rista
Baaki riste jhoothe
Jo gyan daan jo de jaata hain
Wo jag mein amar kahelata hain

Agyani ka jeevan jaise
Deep bina moti jaise
Ghar ghar mein deep jalaye
Gyan ki hi jyoti ke
Apne liye guru vidhata hain jo
Jag mein amar kahelata hain
Apne liye guru vidhata hain jo
Jag mein amar kahelata hain

Sab dharmo ka palan ki jiye
Manvta kaheti hain
Kisi ek ki nahin ye ganga
Sab ke liye behati hai
Ye jal jeevan mehakata hain
Aur mann pawan ho jaata hain
Ye jal jeevan mehakata hain
Aur mann pawan ho jaata hain

Unka jeena kya jeena jo
Apne liye jeete hain
Ek duje ke sukh dukh baate
Ek duje ke liye hain
Jo auro ke kaam aata hain
Wo jeevan ke sukh paata hain
Jo auro ke kaam aata hain
Wo jeevan ke sukh paata hain
Gyan ka daan hi
Sabse bada hain
Jise koi na loote
Gyan ka rista sacha rista
Baaki riste jhoothe

Maali ke jaane se gulsan
Suna ho jaayega
Lekin har bahar ka mausam
Rang naye laayega
Koi aata hain koi jaata hain
Yun waqt gujrta jaata hain
Koi aata hain koi jaata hain
Yun waqt gujrta jaata hain
Gyan ka daan hi
Sabse bada hain
Jise koi na loote
Gyan ka rista sacha rista
Baaki riste jhoothe
Gyan ka daan hi
Sabse bada hain
Jise koi na loote.

More songs lyrics from Apne Apne.