Gulshan Gulshan Lyrics

"Gulshan Gulshan" lyrics from Do Ladkiyan sung by lata mangeshkar, mohammed rafi and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by anand bakshi

Lyricist(s):

Gulshan Gulshan Lyrics


Gulshan gulshan
Pyar ki baate hai
Mehfil mehfil chandani raate hai
Ronak hai zamane mein
Ulfat ki baharo se
Gulshan gulshan
Pyar ki baate hai
Mehfil mehfil chandani raate hai

Kya rakha hai pyar ki
Ek dukhi dastan mein
Kya rakha hai
Kya rakha hai pyar ki
Ek dukhi dastan mein
Bewafa hote hai sab
Mehboob is jahan mein
Kya rakha hai pyar ki
Ek dukhi dastan mein
Kya rakha hai

Mujhe tham le mera naam le
Koi baat kar mulakat kar
Mujhe tham le mera naam le
Koi baat kar mulakat kar
Mat dur ja nazdeek aa
Mat dur ja nazdeek aa
Tujhe kya pata hai yeh pyar kya

Tum kya jano jaan gawa de
Humne is armaan mein
Bewafa hote hai sab
Mehboob is jahan mein
Kya rakha hai pyar ki
Ek dukhi dastan mein
Kya rakha hai

Is jaam ko uth tod de
Mein hai buri ise chhod de
Is jaam ko uth tod de
Mein hai buri ise chhod de
Pina hai to mere sath pi
Pina hai to mere sath pi
Jina hai to mere sath ji

Chhodo mujhko dub ne do
Ashko ke toofan mein
Bewafa hote hai sab
Mehboob is jahan mein
Kya rakha hai pyar ki
Ek dukhi dastan mein
Kya rakha hai.

More songs lyrics from Do Ladkiyan.