Ek Thhi Toti Ek Thha Tota Lyrics

"Ek Thhi Toti Ek Thha Tota" lyrics from Anath Ashram sung by uma shashi and music directed by rai chand boral and composed by rai chand boral and lyrics written by kidar nath sharma (kedar sharma)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ek Thhi Toti Ek Thha Tota Lyrics


Maa ek kahaani to sunaao
Kahaani suno
Munna bada nikamma ladka hai
Din bhar khel kood mein
Waqt zaaya karta hai
Na likhta hai na padhta hai
Bada hoga to is’se
Shaadi kaun karega
Chhodo maa
Main tumse shaadi kar loonga
Tum mujhe tote si
Kahaani sunaao
Tote ki kahaani
Achcha suno

Ek thhi toti ek thha tota
Ek thhi toti ek thha tota

Hmm tota bada shareer thha
Bachcha unka nanha munna
Bachcha unka nanha munna

Din bhar sota baahar jaata
Shaam ko waapis jab ghar aaata
Phir wo khoob khilaune lata
Haathi laata ghode laata

Aur ek baaja laata naa
Laata ek nanha sa baaja
Laakar kehta nanhe raaja
Laata ek nanha sa baaja
Laakar kehta nanhe raaja

Aa mere nanhe raaja aaja
Aa mere nanhe raaja aaja
Aakar doodhh mithhaai khaa jaa
Aa mere nanhe.

More songs lyrics from Anath Ashram.