Ek Taraf Uska Ghar Lyrics

"Ek Taraf Uska Ghar" lyrics from Na-Yaab sung by pankaj udhas and music directed by pankaj udhas and composed by pankaj udhas and lyrics written by zafar gorakhpuri

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ek Taraf Uska Ghar Lyrics


Terii nigaah se aisii sharaab pii maine
Kii phir naa hosh kaa dava kiya kabhii maine
Woh aur honge jinhe maut aa gayii hogii
Nigaahe yaar se paayii hai zindagi maine

Aye ghame zindagi
Aye ghame zindagi kuchh toh de mashwara
Aye ghame zindagi kuchh toh de mashwara
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Main kaha jaau hota nahii faisala
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

Ek taraf bam par koyii gulphaam hai
Ek taraf mehfile bada-o-jaam hai
Ek taraf bam par koyii gulphaam hai
Ek taraf mehfile bada-o-jaam hai
Dil kaa dono se hai kuchh naa kuchh hai vaasta
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

Usake dar se utha toh kidhar jaaunga
Maikada chhod dunga toh mai marr jaaunga
Usake dar se utha toh kidhar jaaunga
Maikada chhod dunga toh mai marr jaaunga
Usake dar se utha toh kidhar jaaunga
Maikada chhod dunga toh mai marr jaaunga
Sakht mushkil me hu kya karu ai khuda
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

Zindagi ek hai aur talabgar do jan
Akelii magar jaan ke hakdaar do
Zindagi ek hai aur talabgar do jan
Akelii magar jaan ke hakdaar do
Dil bata pehele kiska karu hak ada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

Iss taaluk ko mai kaise todu jafar
Kisko apanaau mai kisko chhodu jafar
Iss taaluk ko mai kaise todu jafar
Kisko apanaau mai kisko chhodu jafar
Iss taaluk ko mai kaise todu jafar
Kisko apanaau mai kisko chhodu jafar
Meraa dono se rishta hai najdik kaa
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada

Aye ghame zindagi
Aye ghame zindagi kuchh toh de mashwara
Aye ghame zindagi kuchh toh de mashwara
Main kaha jaau hota nahii faisala
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada
Ek taraf usaka ghar ek taraf maikada.

More songs lyrics from Na-Yaab.