Ek Raja Ki Sun Lo Kahani Lyrics

"Ek Raja Ki Sun Lo Kahani" lyrics from Mehrban sung by lata mangeshkar, mohammed rafi and music directed by ravi shankar sharma (ravi) and composed by ravi shankar sharma (ravi) and lyrics written by rajendra krishan

Lyricist(s):
Music Director(s):

Ek Raja Ki Sun Lo Kahani Lyrics


Ek raja ki sun lo kahani
Ek raja ki sun lo kahani
Kahi hathi na ghode na sena koi
Na kahi thi koi rajdhani
Ek raja ki sun lo kahani
Ek raja ki sun lo kahani

Teen bete the aankho ke tare
Bade pyare pyare dilo ke sahare
Wo the raja ke anmol moti
Nigaho ke jyoti the maa ke dulare
Palko ki chhav mein
Ghujara tha bachpan
Masti mein gujari jawani
Ek raja ki sun lo kahani
Ek raja ki sun lo kahani

Ek aisa agar din bhi aaya
Jisne raja ko nirdhan banaya
Ho gaye khali sare khazane
Haye kaisa yeh andher chhaya
Ujad gaya do roz mein
Basa basaya raj
Kal tak jaha bahar thi
Dhul ude hai aaj
Wo jo bete the aankho ke tare
Raja rani ke dil sahare
Kaam aise mein
Wo bhi na aaye
Chhupte firte the a
Ankhe chhupaye
Aaram ke sathi kya kya the
Jab waqt padha to koi nahi
Dhan dhaulat ke
Sab rishte hai
Dhan ruth gaya to koi nahi
Kaun girte ko deta sahara
Wo raja bechara thaka
Aur hara
Sochta tha kaha hai wo moti
Wo aankho ki jyoti bane
Jo sahara
Raja to chup chap pita
Tha aanshu
Chup chup ke roti thi rani
Ek raja ki sun lo kahani
Ek raja ki sun lo kahani

Ho gaya apna khun paraya
Ho gaya apna khun paraya
Kaam magar ek chakar aaya
Ek bhola insaan waha tha
Bachpan se mehman waha tha
Usne tukde khaye
Sada usi ke panv dhabaya
Un bedardo ki mehfil mein
Ek wahi hamdard bacha tha
Lekin malik ko kya deta
Bechare ke paas hi kya tha
Bechare ke paas hi kya tha

Apne malik me kadmo
Mein ro ro ke
Khush hota charan uske
Dho dho ke
Apna tan man nayochhavar
Wo karta raha
Ek ishare pe malik ke
Marta raha
Hai kahani baat magar
Pal hi ki hai
Na samjhna ise tum purani
Ek raja ki sun lo kahani
Ek raja ki sun lo kahani
Kahi hathi na ghode na sena koi
Na kahi thi koi rajdhani
Ek raja ki sun lo kahani
Ek raja ki sun lo kahani.

More songs lyrics from Mehrban.