Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics

"Ek Pyar Ka Nagma Hai" lyrics from Shor sung by lata mangeshkar, mukesh chand mathur (mukesh) and music directed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and composed by laxmikant shantaram kudalkar (laxmikant pyarelal), pyarelal ramprasad sharma (laxmikant pyarelal) and lyrics written by santosh anand

Lyricist(s):

Ek Pyar Ka Nagma Hai Lyrics


Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki ravaani hai
Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
La la la la la la la la la la la la
Kuch paakar khona hai
Kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to
Aana aur jaana hai
Do pal ke jeevan se
Ek umr churaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Tu dhaar hai nadiya ki
Main tera kinaara hoon
Tu mera sahaara hai
Main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar
Hai aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Toofaan to aana hai
Aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka
Chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati
Reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai.

More songs lyrics from Shor.