Ek Haseen Ladki Mujhpe Marti Hai Lyrics

"Ek Haseen Ladki Mujhpe Marti Hai" lyrics from Agni Putra sung by udit narayan and music directed by nikhil, vinay and composed by nikhil, vinay and lyrics written by anand bakshi

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ek Haseen Ladki Mujhpe Marti Hai Lyrics


Kaun hai kya khabar
Khoob hai woh magar
Ek haseen ladki
Mujhpe marti hai
Dil ki galiyon se chhup
Chhup ke guzarti hai

Door kaise ho hiraangi meri
Door kaise ho hiraangi meri
Ban gayi hai woh deewangi meri
Us kayamat ka main
Naam toh puchhun
Rok loon rasta
Paigaam toh puchhun
Reh gaya main magar
Thaam ke yeh jigar
Ek haseen ladki
Mujhpe marti hai
Dil ki galiyon se chhup
Chhup ke guzarti hai

Door se koi tasveer lagti hai
Door se koi tasveer lagti hai
Woh mujhe meri taqdeer lagti hai
Sochta hoon yeh dillagi na ho
Woh haseen toh hai
Mujh par hasee na ho
Bas yahin soch kar
Main jagaa raat bhar
Ek haseen ladki
Mujhpe marti hai
Dil ki galiyon se chhup
Chhup ke guzarti hai

Kaun hai kya khabar
Khoob hai woh magar
Ek haseen ladki mujhpe marti hai
Dil ki galiyon se chhup
Chhup ke guzarti hai.

More songs lyrics from Agni Putra.