Ek Hai Jharna Lyrics

"Ek Hai Jharna" lyrics from Harishchandra Taramati sung by mohammed rafi and music directed by hridaynath mangeshkar and composed by hridaynath mangeshkar and lyrics written by virendra mishra

Singer(s):
Lyricist(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ek Hai Jharna Lyrics


Ek hai jharna ek hai nadiya
Ek sagar gahra hai
Ek hai jharna ek hai nadiya
Ek sagar gahra hai
Behta jal kab ek jagah par
Thehra hai
Ek hai jharna

Yeh jivan hai janjal ghana
Jo raja tha chandal bana
Yeh phulo ki raj kumari
Rani thi ab hai panihari
Maa se beta chhut gaya hai
Iska sapna tut gaya hai
Tap kar sona kundan banta
Wohi asli sehra hai
Behta jal kab ek jagah par
Thehra hai
Ek hai jharna

Hai kam kisi ka hath kisi ke
Kuch din mithe kuch din tikhe
Yeh hai dasi ki bhi dasi
Tan chah kar hai man sanyasi
Pran palenge raja rani
Dekhe kis mein kitna pani
Jo pani ka geet na samjha
Aisa jag to gahra hai
Behta jal kab ek jagah par
Thehra hai
Ek hai jharna

Jite ji marna padta hai
Anchaha karna padta hai
Dukhiyara darpan rota hai
Bach ke jite kya hota hai
Pardesi nanha banjara
Ab sukha jharna bechara
Do naino ke jal mein jhaka
Jag ka kala chehra hai
Behta jal kab ek jagah par
Thehra hai
Ek hai jharna ek hai nadiya
Ek sagar gahra hai
Ek hai jharna.

More songs lyrics from Harishchandra Taramati.