Ek Ganga Kahi Se Aayi Lyrics

"Ek Ganga Kahi Se Aayi" lyrics from Maha Sati Savitri sung by mahendra kapoor and music directed by avinash vyas and composed by avinash vyas and lyrics written by ramchandra baryanji dwivedi (kavi pradeep)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ek Ganga Kahi Se Aayi Lyrics


Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path pe chalte chalte
Sangam ban gayi
Ek preet ke
Punit paryag me aake
Tirth anupam ban gayi
Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path pe
Chalte chalte
Sangam ban gayi

Aarya desh ki ek beti ne
Apne dharam ko nibhaya
Aarya desh ki ek beti ne
Apne dharam ko nibhaya
Ek janam me koti janam ka
Punay sati ne kamaya
Sankat jo pade
Sabhi haske sahe
Kabhi kisi ko
Wachan kadwe na kahe
Jab do aankho
Me aamawas thi
Ek dulhan poonam ban gayi
Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path
Pe chalte chalte
Sangam ban gayi

Sati ko kuch na patha tha
Ke usne kya khoya kya paya
Sati ko kuch na patha tha
Ke usne kya khoya kya paya
Anjane hi ganga ka man
Sagar par lalchaya
Jab bhagya ne ek palta khaya
Or tyag ka jab awsar aaya
Ek rajmahal ki chanchalta
Pal bhar ke sayam ban gayi
Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path
Pe chalte chalte
Sangam ban gayi
Sangam ban gayi
Sangam ban gayi
Sangam ban gayi.

More songs lyrics from Maha Sati Savitri.