Ek Din Raadha Ne Lyrics

"Ek Din Raadha Ne" lyrics from Vidyapati sung by pahadi sanyal and music directed by rai chand boral and composed by rai chand boral and lyrics written by kidar nath sharma (kedar sharma)

Singer(s):
Music Director(s):
Composer(s):

Ek Din Raadha Ne Lyrics


Maharaj suniye
Ek kahani

Ek din raadha ne
Bansuriya naandalal ki
Chupke se li chura
Ghar laayi uthha
Aur krodh mein aa boli
Ki nigodi sach batla
Kya mantar hai
Kya jaadu hai wo
Moh rakha hai jis’se
Mohan ko
Hanskar bansuriya boli yoon
Thehro sajni
Batlaati hoon

Ik baans ki thhi patli si nali
Ik baans ki thhi patli si nali
Jangal mein ugi ee
Jangal mein pali
Jangal mein ugi ee
Jangal mein pali
Taqdeer magar
Kuchh achchi thhi
Taqdeer magar
Kuchh achchi thhi
Madhusudan ke main saath li
Madhusudan ke main saath li
Sajni jo kata har ang mera
Kuchh aur hi nikla rang mera
Sajni jo kata har ang mera
Kuchh aur hi nikla rang mera
Main prem ko samjhi thhi aasaan
Main prem ko samjhi thhi aasaan
Sun kar hogi tum bhi hairaan
Sun kar hogi tum bhi hairaan

Chhedon se mera
Seena hai bhara
Chhedon se mera
Seena hai bhara aa
Haath laga kar dekh zara
Chhedon se bhara
Seena hai mera
Aa haath laga kar dekh zara
Ab tan kya hai ik taan sakhi
Ab tan kya hai ik taan sakhi
Pritam ke shwaas hain jaan sakhi
Pritam ke shwaas hain jaan sakhi
Pritam ke ae ae
Shwaaaas hain ae ae
Jaaaaan sakhi.

More songs lyrics from Vidyapati.